June 14, 2005

Wo Ladki

Sorry !! I am unable to upload this poem in Hindi font right now but I'll definately do it when I'll come to Kgp.

Jab bhi main usse milta hoon, Sab kuchh naya ho jata hai.
Kuchh Kuchh Dil main Uthata hai, Kuchh Kuchh Yunh hi daba rah jata hai.
Ab to ye garm hawa bhi thandi si lagti hai.
Ye jhulsi dhoop bhi apni si lagti hai.
mann hichkole leta hai, badi uchhal Kud si karta hai.
maathe par sikudan si pad jaati hai, Aankhe jhuk si jaati hain.
Par main na kuchh kah pata hoon aur na hi wo kuchh sun pati hai.


Jitni wo sundar hai, uski baaten bhi utni hi achhi hai.
Apni bachkani baaton se wo lagti saat saal ki bachhi hai.
Pal Pal hasti hai, har pal jeeti hai.
Esiliye meri kavita main shaswat wo dikhti hai.


Mujhe maloom hai ki main usse layak nahin, par kyon wo apni si lagti hai.
Jitna khud ko jhutlata hoon, mujhe aur paas wo dikhti hai.
Rishton main usko baand sakta nahin, esliye mere shabddo main wo rahti hai.
haan 'wo ladki' ab har pal mere sang hi rahti hai.

1 comment:

Anonymous said...

hi roop
pehchana.......tummujhe acchi tarha se jante ho issliye bataney ki jaroorat hai nahi ki who i am
well about this poem......haan ji tum bilkul aisey hi ho...tum kisiko apna toh bana nahi saktey aur sirf tumhare yadoon mein tumhare saath rahegi woh // just kidding
well actually mein kehena chahati thi ....bahut accha likhe ho!